KHwab aur KHwahish mein
fasla nahin hota
aks aur pani ke
darmiyan aankhon mein
aaina nahin hota
soch ki lakiron se
shakl kya banaoge
dard ki musallas mein
zawiya nahin hota
be-shumar naslon ke
KHwab ek se lekin
nind aur jigraata
ek sa nahin hota
jauhri nizamon mein
nam bhul jate hain
code yaad rahte hain
itemi dhamakon se
tabkar naslon ke
KHwab TuT jate hain
shahr Dub jate hain
markaze bikharte hain
daere simaTte hain
raqs ke tamashe mein
arz o shams hote hain
aur KHuda nahin hota
sad-hazar salon mein
ek nur lamhe ka
TuT kar bikhar jaana
hadsa to hota hai
waqia nahin hota
history tasalsul hai
ek bar TuTe to
dur-bin nigahen bhi
thak ke haar jati hain
gum-shuda zaminon se
munqata zamanon se
rabta nahin hota
nanhe munne bachchon ke
nau-bahaar hathon mein
phul kaun dekhega
aane wali sadiyon mein
teri meri aankhon ke
KHwab kaun dekhega
zer-e-ab chizon ka
kuchh pata nahin hota!
Nazm
Pani mein gum KHwab
Naseer Ahmad Nasir