pani par ek taswir hamari ubhri thi
ek taswir zamane ki
aur kabhi ye taswiren aapas mein gaDmaD ho jatin
ek duje mein ghul-mil jatin
phir se juda ho jati thin
pani ke ek qatre ne in aaankhon mein
dekho kaisa khel rachaya
jaane kaisa pani tha us pani par bahte
kaise kaise bazar lage the
kaisi kaisi taswiren
jaane kaun tha
hum apne kurte ke daman se
kis ke aansu ponchh rahe the
phir ek lahr uThi sara bazar is bazar mein, hum donon
gahre pani mein Dub rahe the
Nazm
Pani ka khel
Mushaf Iqbal Tausifi