aankhen hi aankhen ug aai hain sare darwazon par
apna KHun hi
gandi gandi baaten karta hai kanon mein
har khunTi meri jaanib angusht-numai karti hai
ghur ghur kar
mujh ko har shai dekh rahi hai
garm garm sanson ke phike
takiye se nikla karte hain
gile honT hawa ke
mere galon par renga karte hain
ek an-jaani KHwahish pallu khench rahi hai
apni hi parchhain mujh ko bhench rahi hai
Nazm
Pakizgi ka solahwan sal
Muzaffar Hanfi