pagalon se nahin
bahut Dar lagta hai, mujhe
normal aur zahin logon se
kuchh bhi kar sakte hain
wo
apni mahbubiyat mein
qahr aur fitne se bhari
KHud-pasandi mein
kuchh bhi soch sakte hain
kuchh bhi chah sakte hain
mansube banana
aur sazishen karna mushkil nahin hota
un ke liye
yaqin rahta hai unhen
kuchh bhi kar sakti hai zehanat
agar mushkil koi war karegi
to Dhaal ban jaegi zehanat
normal
bahut mutassir hote hain un se
un jaisa hona chahte hain
unhi ka sath dete hain
kisi bhi aurat ke bare mein
kuchh bhi soch sakte hain
zahin aur normal
mantiq se chalte hain aur hisab se
ishq nahin kar sakte isi liye
ye baat to sabit nahin
ki ishq
pahle mahbub ke dil mein paida hota hai
aurten ye sab samajhti hain
mardon se kahin ziyaada
ahmaq-tarin lagne wali aurat bhi
in muamlon mein
kahin aage hoti hai kisi bhi mard se
phir bhi
phans hi jati hain be-chaari
phansti chali jati hai
pagalon ko qubul nahin kartin wo
haalanki wahi jaanti hain sab se ziyaada
ishq to kaam hai sirf pagalon ka
nach sakte hain pagal
un ke KHayal mein
yaad kar sakte hain unhen
phulon ko dekh kar
sun sakte hain hawa se un ki baaten
jo un ki taraf se na bhi aai ho
daraKHton ko chalta hua dekh sakte hain
un ke sath
bhari dopahron mein
dhup par hairan ho sakte hain
un ke muqabil khaDa kar sakte hain
dhup aur sae ko pagal
aur shaeri ban sakti hain
un ke bare mein
sirf pagalon ki baaten
Nazm
Pagalon ki madh mein
Anwar Sen Roy