tu jo humak kar meri god mein chaDh jati hai
raaton ko be-mauqa nind uDa deti hai
teri KHatir
shora ke bazaron tak main ho aata hun
phir be-samjhi wah wah ke aawaze se ghayal ho kar
aksar muafi mang chuka hun
ai dad-o-tahsin ki KHwahish
hiron ka to kaam hai aankhen KHira karna
par un hiron ki taKHliq mein
aur pahchan ke darjon ki tarwij mein
lamba waqfa hai
kaun ye jaane
ye kitna lamba waqfa hai
ai dad-o-tahsin ki KHwahish
fard jamaat se gar dur nikal jata hai
to pagal hi kahlata hai
Nazm
Pagal
Abrarul Hasan