ek jawan si aur diwani aurat ko
main ne saDak par aksar ghumte dekha hai
gah kisi sae ki taraf masruf-e-KHiram
aur kabhi wahshat mein jhumte dekha hai
us ki surKH aankhon mein pagal-pan ke siwa
aur bhi kuchh hai jis ka koi nam nahin
ek aisi bedari us par tari hai
jis ke muqaddar mein ab koi sham nahin
us ke patthar jaise chup-chup chehre par
ek sangin udasi nachti rahti hai!
us ki soi soi gahri palkon mein
raaton ki tariki jagti rahti hai!
us ke mathe par bikhri zulfon ka dhuan
jaise KHatm na hone wala chand gahan
kya jaane kis aankh se TuTa tara hai
kya jaane kis suraj ki aawara kiran
kya jaane kis ki beTi hai kis ki bahan
kya jaane kis bap ka dil kis man ka nur
ek bagula apne virane se juda
ek bhaTakti ruh apne marqad se dur
wo footpath pe aur kabhi shahrahon par
kya jaane kis dhun mein tanha phirti hai
shab ko aaKHir bar-e-masafat se thak kar
kya jaane kis goshe mein ja girti hai
koi shariat jis se nahin le sakti hisab
jis ka dil neki se KHali hai
jaane kis sag-zada KHabasat ke hathon
ab wo bachche ki man banne wali hai!
Nazm
Pagal aurat
Sahba Akhtar