اردو हिंदी
Pagal | Shaahi Shayari
pagal

Nazm

Pagal

Abbas Tabish

;

wo aaya shahr ki taraf
ek us ki chap ki khanak

qayam-e-roz-e-ishq ki pukar thi
ki barg-o-bar-e-KHak ka fishaar thi

wo aaya shahr ki taraf
lapak ke inT ki taraf

wo is tarah baDha ki jaise nan-e-KHushk par koi
sag-e-gurasua gir paDe

wo galiyon bhari zaban gali gali chhalak paDi
har ek jeb us ki ungliyon se tar tar thi

ki us ki thuthni se phuTti gamak
qiyam-e-roz-e-ishq ki pukar thi

wo galiyon bhari zaban mera libas gandagi se bhar gai
na jaane kitne log

us ke dast-e-dashna-dar se guzar gae
hayat par kar gae

wo be-hunar subuk-tani se Dar gaya
sab us ki rah se haT gae

to us ne apni ruh ki barahnagi
zamin-e-mah ki taraf uchhaal di

ki ye hunar usi ka tha