اردو हिंदी
Padash | Shaahi Shayari
padash

Nazm

Padash

Shakeb Jalali

;

kabhi is subuk-rau nadi ke kinare gae hi nahin ho
tumhein kya KHabar hai

wahan an-ginat khurdure pattharon ko
sajal paniyon ne

mulaem rasile, madhur git ga kar
amiT chikni golaiyon ko ada saunp di hai

wo patthar nahin tha
jise tum ne be-Dol, an-ghaD samajh kar

purani chaTanon se Takra ke toDa
ab us ke sulagte tarashe

agar panw mein chubh gae hain to kyun chiKHte ho?