اردو हिंदी
Pabandi | Shaahi Shayari
pabandi

Nazm

Pabandi

Ahmad Nadeem Qasmi

;

mere aaqa ko gila hai ki meri haq-goi
raaz kyun kholti

aur main puchhta hun teri siyasat fan mein
zahr kyun gholti hai

main wo moti na banunga jise sahil ki hawa
raat din rolti hai

yun bhi hota ki aandhi ke muqabil chiDiya
apne par taulti hai

ek bhaDakte hue shole pe Tapak jae agar
bund bhi bolti hai