net ijad hua hijr ke maron ke liye
search engine hai baDi chiz kunwaron ke liye
jis ko sadma shab-e-tanhai ke ayyam ka hai
aise aashiq ke liye net bahut kaam ka hai
net farhad ko shirin se mila deta hai
ishq insan ko goggle pe biTha deta hai
kaam maktub ka mouse se liya jata hai
aah-e-sozan ko bhi upload kiya jata hai
text mein log mohabbat ki KHata bhejte hain
ghar batate nahin office ka pata bhejte hain
aashiqon ka ye naya taur naya Type hai
pahle chilman hua karti thi ab skype hai
ishq kahte hain jise ek naya samjhauta hai
pahle dil milte the ab nam click hota hai
dil ka paigham jab email se mil jata hai
mel har chauk pe female se mil jata hai
ishq ka nam faqat aah-o-fughan tha pahle
Dak-KHane mein ye aaram kahan tha pahle
iD jab se mili hai mujhe ham-sai ki
achchhi lagti hai tawalat shab-e-tanhai ki
net pe log jo nawwe se palas hote hain
baiThe rahte hain wo Tas hote hain na mas hote hain
facebook kucha-e-jaanan se hai milti-julti
har hasina yahan mil jaegi hilti-julti
ye mobile kisi aashiq ne banaya hoga
us ko mahbub ke abba ne sataya hoga
text jab aashiq-e-barqi ka aTak jata hai
talib-e-shauq to suli pe laTak jata hai
online tere aashiq ka yahi taur sahi
tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi
Nazm
Online aashiq
Khalid Irfan