mazhab ka octopus
pakaD leta hai fard ko
us ke bazu phail jate hain
har masam har uzw par
ye hawi ho jata hai
har har sans par
ifrit ban kar nigal leta hai
jazbaat ke reshmi thanon ko
masal kar rakh deta hai
dil-soKHta ki har KHwahish ko
silen rakh deta hai dil-e-nazuk par
upar se niche tak
be-shumar be-hisab
jo machle shikar us ka
aur saKHt ho jati hai
giraft us ki
zara si kushadgi bhi nahin bhati us ko
mohabbat ki sadgi
kahan pasand aati hai us ko
us ki qumchi har waqt barasne ko tayyar hai
jazbaat ke khel mein
fard ka ehsas
kyun hai qabil-e-etiraaz
Nazm
Octopus
Nadiya ambar lodhi