qadam chaaliswin manzil mein us yusuf ne jab rakkha
to pahuncha karwan-e-wahi aawaz-e-jaras ho kar
ki dil to jag uTha aankhon mein ghaflat nind ki chhai
hua sine mein is se maujzan ek lujja-e-irfan
ki tab is jazr-o-mad ki fitrat-e-insan nahin lai
baDha josh is ka baDh kar sahil-e-aflak tak pahuncha
uThi mauj is se uTh kar arsh ki zanjir khaDkai
jharoka arsh ka ruhul-qudus ne khol kar dekha
to nikla muddaton ka rabt barson ki shanasai
huin jari zaban par aayaten wo nur ki jis par
fida ho lahn-e-daudi-o-anfas-e-masihai
Nazm
Nuzul-e-wahi
Nazm tabaa-tabaa.ii