pahlu-e-shah mein ye duKHtar-e-jamhur ki qabr
kitne gum-gashta fasanon ka pata deti hai
kitne KHun-rez haqaeq se uThati hai naqab
kitni kuchli hui jaanon ka pata deti hai
kaise maghrur shahanshahon ki taskin ke liye
sal-ha-sal hasinaon ke bazar lage
kaise bahki hui nazron ke tayyush ke liye
surKH mahlon mein jawan jismon ke ambar lage
kaise har shaKH se munh-band mahakti kaliyan
noch li jati thin tazin-e-haram ki KHatir
aur murjha ke bhi aazad na ho sakti thin
zill-e-subhan ki ulfat ke bharam ki KHatir
kaise ek fard ke honTon ki zara si jumbish
sard kar sakti thi be-laus wafaon ke charagh
luT sakti thi damakte hue hathon ka suhag
toD sakti thi mai-e-ishq se labrez ayagh
sahmi sahmi si fazaon mein ye viran marqad
itna KHamosh hai fariyaad-kunan ho jaise
sard shaKHon mein hawa chiKH rahi hai aaise
ruh-e-taqdis-o-wafa marsiyan-KHwan ho jaise
tu meri jaan mujhe hairat o hasrat se na dekh
hum mein koi bhi jahan-nur o jahan-gir nahin
tu mujhe chhoD ke Thukra ke bhi ja sakti hai
tere hathon mein mere hath hain zanjir nahin
Nazm
Nur-jahan ke mazar par
Sahir Ludhianvi