din ko bhi yahan shab ki siyahi ka saman hai
kahte hain ye aaram-gah-e-nur-jahan hai
muddat hui wo shama tah-e-KHak nihan hai
uThta magar ab tak sar-e-marqad se dhuan hai
jalwaon se ayan jin ke hua tur ka aalam
turbat pe hai un ke shab-e-daijur ka aalam
ai husn-e-jahan-soz kahan hain wo sharare
kis bagh ke gul ho gae kis arsh ke tare
kya ban gae ab kirmak-e-shab-tab wo sare
har sham chamakte hain jo rawi ke kinare
ya ho gae wo dagh jahangir ke dil ke
qabil hi to the aashiq-e-dil-gir ke dil ke!
tujh si malika ke liye bara-dari hai
ghaalicha sar-e-farsh hai koi na dari hai
kya aalam-e-bechaargi ai taj-wari hai
din ko yahin bisram yahin shab-basri hai
aisi kisi jogan ki bhi kuTiya nahin hoti
hoti ho magar yun sar-e-sahra nahin hoti
tawiz-e-lahad hai zabar o zer ye andher
ye daur-e-zamana ke ulaT pher ye andher
aangan mein paDe gard ke hain Dher ye andher
ai gardish-e-ayyam ye andher! ye andher
mah-e-falak-e-husn ko ye burj mila hai
ai charKH tere husn-e-nawazish ka gila hai
hasrat hai Tapakti dar-o-diwar se kya kya
hota hai asar dil pe in aasar se kya kya
nale hain nikalte dil-afgar se kya kya
uThte hain sharar aah sharbar se kya
ye aalam-e-tanhai ye dariya ka kinara
hai tujh si hasina ke liye hu ka nazara
chau-pae jo ghabraate hain garmi se to aksar
aaram liya karte hain is rauze mein aa kar
aur sham ko baalai siyah KHanon se shappar
uD uD ke lagate hain dar-o-baam ke chakkar
mamur hai yun mahfil-e-jaanan na kisi ki
aabaad rahe gor-e-ghariban na kisi ki
aarasta jin ke liye gulzar o chaman the
jo nazuki mein dagh dah-e-barg-e-saman the
jo gul-ruKH o gul-pairahan o ghuncha-dahan the
shadab gul-e-tar se kahin jin ke badan the
pazhmurda wo gul dab ke hue KHak ke niche
KHwabida hain KHar-o-KHas-o-KHashak ke niche
rahne ke liye dida o dil jin ke makan the
jo paikar-e-hasti ke liye ruh-e-rawan the
mahbub-e-dil-KHulq the jaan-baKHsh-e-jahan the
the yusuf-e-sani ki masiha-e-zaman the
jo kuchh the kabhi the magar ab kuchh bhi nahin hain
TuTe hue pinjar se paDe zer-e-zamin hain
duniya ka ye anjam hai dekh ai dil-e-nadan
han bhul na jae tujhe ye madfan-e-viran
baqi hain na wo bagh na wo qasr na aiwan
aaram ke asbab na wo aish ke saman
TuTa hua ek sahil-e-rawi pe makan hai
din ko bhi jahan shab ki siyahi ka saman hai
Nazm
Nur-jahan ka mazar
Tilok Chand Mahroom