hujum-e-yas mein jot aas ki teri aawaz
hum ahl-e-dard ki hai zindagi teri aawaz
labon pe khilte rahen phul sher-o-naghma ke
faza mein rang bikhere yunhi teri aawaz
dayar-e-dida-o-dil mein hai raushni tujh se
hai chehra chand madhur chandni teri aawaz
ho naz kyun na muqaddar pe apne 'nur-jahan'
tujhe qarib se dekha suni teri aawaz
na miT sakega tera nam rahti duniya tak
rahegi yunhi sada gunjti teri aawaz
Nazm
Nur-jahan
Habib Jalib