har jalwa jahangir tha jis waqt jawan thi
kahte hain jise nur-jahan nur-e-jahan thi
tha hur ka TukDa but-e-tannaz ka mukhDa
ek shama thi fanus mein jo nur-fishan thi
andaz mein shoKHi mein karishme mein ada mein
talwar thi barchhi thi kaTari thi sinan thi
ruKHsar-e-jahan-tab ki paDti thin shuaen
ya husn ke dariya se koi mauj rawan thi
bijli thi chamakti hui daman-e-shafaq mein
ya mauj-e-tabassum thi labon mein jo nihan thi
gulzar-e-maani ki chahakti hui bulbul
shair thi suKHan-sanj thi ejaz-e-bayan thi
betab hua jata hai dil zikr se us ke
kya puchhte ho kaun thi wo aur kahan thi
duniya-e-tadabbur mein thi yakta-e-zamana
hath us ke the aur un mein hukumat ki inan thi
dastur-e-adalat ke liye us ka qalam tha
farman-e-reaya ke liye us ki zaban thi
wo sham-e-shab-afroz thi parwana jahangir
ye baat bhi donon ki mohabbat se ayan thi
lahore mein dekha use madfun tah-e-marqad
gard-e-kaf-e-pa jis ki kabhi kahkashan thi
paiwand-e-zamin ho gae ab kaun batae
'kaifi' ye jahangir tha wo nur-jahan thi
Nazm
Nur-jahan
Chandar Bhan Kaifi Delhwi