ye raat hai ki harf-o-hunar ka ziyan-kada
izhaar apne-ap mein mohmal hue tamam
ab main hun aur lamha-e-lahut ka safir
mahw-e-dua hua mere andar koi faqir
sine pe kaisa bojh hai hota nahin subuk
honTon ke zawiyon mein phansa hai KHudaKHuda
kya lafz hai ki jibh se hota nahin ada
kamzor hath hain ki nahin uThte su-e-baam
izhaar apne aap mein zail hue tamam
sirf aankh hai ki dekhti hai chand nisf gol
ai KHamushi ki shaKH pe baiThe parind bol
Nazm
Nun-mim-rashid ke intiqal par
Rajinder Manchanda Bani