gar kisi taur har ek ulfat-e-jaanan ka KHayal
sher mein Dhal ke sana-e-ruKH-e-jaanan na bane
phir to yun ho ki mere sher-o-suKHan ka daftar
tul mein tul-e-shab-e-hijr ka afsana bane
hai bahut tishna magar nusKHa-e-ulfat mera
is sabab se ki har ek lamha-e-fursat mera
dil ye kahta hai ki ho qurbat-e-jaanan mein basar
Nazm
NusKHa-e-ulfat mera
Faiz Ahmad Faiz