KHunuk hawa ka barahna hathon se zard mathe se
pahla pahla mukalima hai
abhi ye din-raat sard-mehri ke itne KHugar nahin hue hain
to phir ye be-wazn subh kyun bojh ban rahi hai
sawad-e-aghaz-e-KHushk-sali mein kyun waraq bhigne laga hai
dhuan dhuan sham ke alaw mein koi jangal jale
ki ruThi hui tamanna
KHizan ka pani koi ishaara nahin samajhta
ye nahr ab tak purane pahre mein chal rahi hai
ajib tasir aaKHir-e-shab ke aasman ki
hawa chale ya zamin ghume
fasil kohre ki koi suraj nahin giraata
zamin se malba gae dinon ka koi sitara nahin uThata
tawil raaten ki muKHtasar din
kasir wade qalil umren
abas hisab-o-shumar us ka jo gosht is sal naKHunon se juda hua hai
sikuDte lamhe ki ek sarhad se ta-ba-hadd-e-digar wahi kar-e-satr-poshi
wo mu-e-tan ho ki tar-e-pamba ki baal-o-par aks-e-aina ke
har ek katran pe zardiyan banTne daraKHton ke faisle hain
udas patta
KHizan ka pani nae maani nahin samajhta
so nahr ab tak purane pahre mein chal rahi hai

Nazm
Nowember ke pahle hafte par ek nazm
Akhtar Husain Jafri