اردو हिंदी
Nostalgia | Shaahi Shayari
nostalgia

Nazm

Nostalgia

Perwaiz Shaharyar

;

waqt kabhi Thaharta nahin
samundar ki lahron ki tarah

mutawatir chalta rahta hai
lekin

tarik daldal mein phanse hue lamhe
in saaton ka irtiash

chand saniye ke sargam ke sae
tamam umar ruh mein paiwast ho kar

insan ka taaqub karte rahte hain
rahm-e-mather ki shiryanen jaise

bahren maujon ke muhib sae ki tarah
makin-e-rahm ke nanhe wajud ko

DhunDhti hain bar bar
muD muD ke pichhe dekhti hain ashk-bar

magar
guzra hua lamha baad-e-nasim ka ek jhonka

aata nahin dobara
kabhi Thaharta nahin hai aab-e-rawan

Thaharti hain to sirf yaKH-basta yaaden aur
chand saniye ke liye

tarik daldal se musalsal
baramad hone wala

sat suron ka sargam