wo din kitne munawwar the
kisi ko bazuon mein be-tarah bharne ki KHwahish se
ayagh-e-jism-o-jaan ek be-KHudi mein jab laba-lab tha
chanaron ke badan mein sruKH-ru masti dahakti thi
kuchh aisa haal besh-o-kam hamare dil ka bhi tab tha
wo din kitne munawwar the
ki bachpan ki hasin shamon ke sae baat karte the
tu jaise dur ufuq qulqul se hansta tha, jahan rab tha
ki har lazzat zaban ko yaad ke name sunati thi
ki har KHushbu se paiwasta koi pichhla jahan jab tha
mohabbat dil ke KHali dasht mein jab sair karti thi
so is taraj ke aage hamein kuchh hosh hi kab tha
KHushi ka narm-par tair badan mein sarsaraata tha
to aansu bhi umaDte the, KHushi ka ye bhi ek Dhab tha
wo din kitne munawwar the
tahi-kesa zamane sarKHushi se jab chhalakte the
bhare din jis se KHali hain tahi kison mein wo sab tha
Nazm
Nostalgia
Bilal Ahmad