bis baras wo purani shirt
nikli hai almari se
main ne tah kar ke us ko
almari ke sab se upar wale KHane mein rakkha tha
jaise meri buDhi man quran ko chum ke rakhti thi
teri yaadon ke parfum ke dhabbe paDe hain ab tak
aur main chhu kar dekhun to
KHushbu bhi ab tak gai nahin hai
waqt is shirt ki aastin ka ghusa hua hai
bas main aaKHiri bar jo tera ticket liya tha
jeb mein ab tak paDa hua hai
tu ne aaKHiri bar baTan Tanka tha is mein
yaad hai jaanan
dant se dhaga toD ke kaise
soi chubhoi thi sine mein
us ki Tisen aaj bhi mere
dil mein rah rah kar uThti hain
sab kuchh itna hi taza hai
main ne shirt sambhaal ke rakkhi
waqt ko main ne rok ke rakkha
sab kuchh waise ka waisa hai
lekin jaanan
ye to bata tu
shirt ke collar par jo teri
kali zulf ka baal Tika tha
us par safedi kaise aai
Nazm
Nostalgia
Ali Imran