mujhe bata kar
ki meri samt-e-safar kahan hai
kai KHazanon ke
be-nishan naqshe
mujhe thama kar
kaha tha us ne ki satwen dar se aur aage
tumhaari KHatir
mera wo bab-e-baqa khula hai
magar
wahan par tamam dar wa the meri KHatir
wo satwan dar khula nahin tha
magar wahan par
koi bhi raaz-e-baqa nahin tha
tamam ajsam the salamat
koi bhi zinda bacha nahin tha
koi bhi mere siwa nahin tha
wahan bhi koi KHuda nahin tha
Nazm
No mans land
Khalid Karrar