hawa ke hathon mein hath de kar
judaiyon ke safar pe nikle the tum
magar kyun
ruke hue ho
yaqin-e-KHufta guman-e-puKHta ke paniyon par
jahan pe awwal mohabbaton ke kanwal khile the
abhi wahin ho!
judaiyon ke safar pe ja kar bhi ab talak tum
gae nahin ho!
chale bhi jao
chale bhi jao
ki gum-shuda zat ke KHazine ki kunjiyan DhunDni hain main ne
sukut-e-saut-o-sada ke parde mein tarz-e-guftar sikhni hai
nikal ke maujuda waqt ke be-daricha be-dar haweliyon se
mujhe mulaqat sochni hai
bahut si be-nam ghair mahdud saaton ki saheliyon se
chale bhi jao
bas is se pahle
ki mom-lamha pighal hi jae
ki jabr aaghaz ho shabon ka
ki soch rasta badal hi jae
chale bhi jao
Nazm
Nisf hijr ke dayar se
Saeed Ahmad