اردو हिंदी
Nisbat-e-KHak | Shaahi Shayari
nisbat-e-KHak

Nazm

Nisbat-e-KHak

Himayat Ali Shayar

;

zamin se kyun na mujhe pyar ho ki mera wajud
azal se ta-ba-abad KHak se ibarat hai

mera KHayal mere KHwab meri fikr-o-nazar
jasad se ta-ba-lahad KHak se ibarat hai

wo musht-e-KHak jise nur ne kiya sajda
KHirad ke nit nae sanchon mein Dhal rahi hai aaj

wo aag jis ne kiya inhiraf-e-azmat-e-KHak
KHud apni zat ke dozaKH mein jal rahi hai aaj

main apni KHak se kis tarah be-niyaz rahun
meri zamin mujhe jannat dikhai deti hai

wo guftugu jo sar-e-arsh mere haq mein hui
KHuda ke lahje mein ab bhi sunai deti hai

main apni KHak watan se jo pyar karta hun
to is liye ki mujhe us se KHas nisbat hai

mere wajud ki azmat mera uruj-o-zawal
azal se ta-ba-abad KHak se ibarat hai