اردو हिंदी
Nirwan | Shaahi Shayari
nirwan

Nazm

Nirwan

Wazir Agha

;

meri sans ka silsila
aise TuTe ki ek mast jhonke ke manind girti luDhakti hui umr meri

hari lanbi maKHmal si KHushbu bhari ghas mein
apne nange badan ko utare

na aansu girae na daman pasare
faqat hath ke al-widai ishaare se

apne taaqub mein aate parindon ko ruKHsat kare
aur KHud ghas ki jhil mein Dub jae

meri sans ka silsila
yun na TuTe ki ek tund jhonke ke manind uDti hui umr meri

kisi band ujDe hue shahr mein dafatan KHud ko pae
bhayanak KHamoshi ka ek Dolta qahqaha

us ki rag rag mein utre to wo baukhlae
qataron mein leTi hui murda galiyon mein bhaTke

makanon mein utre munDeron pe aae
siyah chhoTi inTon ki farsuda diwar ko apni poron se chhu kar

koi dar DhunDe koi rah mange
achanak kisi sard khambe ki be-nur aankhon se jhanke

baDe karb se giDgiDae
KHudara koi mujh ko bahar nikalne ka rasta batae

KHudara koi mujh ko bahar nikalne ka rasta batae