mein kapilwastu ka shahzada nahin
dardmandi ki hawas
nirwan ki KHwahish
kabhi dil mein samai bhi nahin
main ki bargad ke taqaddus se bhi tha na-ashna
aur aaj bhi
chhanw ki had tak daraKHton se hai meri dosti
main ek aisa tifl-e-maktab tha
zara si bhul par jo sarzanish ke KHauf se
jangal ki jaanib chal paDe
rah mein kuchh ham-safar aise milen
jo use widyarthi samjhen
kuchh aise log bhi
jo use sahmi hui si chor nazron ke sabab
mushtarak dushman ka ek jasus samjhen
aur ishaaron mein kahin
ye kapilwastu ka shahzada nahin
kya KHabar shayad manu ji ka koi chela ho
ya phir chanakya ji ka koi muKHbir na ho
yun ummid-o-bim ka sarhad ke gahre darmiyani fasle ko
main ne mushkil se andheri raat mein tai kar liya
aur shaarda ke khanDaron tak aa gaya
jab sahar hone ko thi
main shaarda ke khanDaron se chal diya
shaarda ka pul mare qadmon mein tha
tab sipahi ka pukara kaun hai
yun visal-e-subh ka arman firaq-e-sohbat-e-shab ban gaya
KHud farebi aur KHush-fahmi ke sare raste masdud ho kar rah gae
dhyan ne jab dil ko samjhaya sipahi kaun tha
ab main qatan gyan aur mukti ka dil-dada nahin
main kapilwastu ka shahzada nahin
Nazm
Nirwan
Taoos