kabhi KHirad ki khuli dhup mein chala aaya 
kabhi main ishq ke sae mein ja ke baiTh gaya 
kabhi kitab khan kabhi sitare gine 
haram mein dair mein girje mein har taraf DhunDa 
tujhe sadaen lagain tujhe talash kiya 
magar ai ruh kahin tu nazar nahin aai 
main thak ke haar ke lauTa to kis tarah lauTa 
ki apni jism ki sarhad pe aa gaya hun main 
yahan se aaKHiri aawaz de raha hun tujhe 
yahan ke baad faqat jism ki hukumat hai 
yahan ke baad faqat jism ki hukumat hai
 
        Nazm
Nirbhaya ki maut par
Muzaffar Abdali

