KHwab ke raste mein
hawa ka lagaya hua
ek daraKHt so raha hai
daraKHt ke niche
raat ki barish se
zamin abhi tak bhigi hui hai
aasman
chhupa hua hai baadalon mein
aur pani ke qatre
gir rahe hain
us ki aankhon par
mere baghair
wo chalna shurua kar di hai
ek aaine ke samne
aur gir paDti hai
KHud ko dekhte hue
ek stretcher par
jise istiqbaaliya counter se
wapas kar diya jata hai
Nazm
Nind
Zeeshan Sahil