jab khuli aankhon se apne aas-pas
dekhta hun apni duniya kis qadar mahdud-o-tang
aur phir
ek jagte lamhe mein main
band kar leta hun apni aankh aur
dekhta hun samne phaila hua ek jahan-e-be-kanar
dekhta hun apni hi aankhon se wo sare manazir
shahr aur aabaadiyan
saikDon sadiyon se jo mahfuz hain
kis ko dekhun kis ko chhoDun
aisi ek duniya na jis ka or-chhor
na to samten aur haden
aur ufuq napaid, ghaeb aasman
sochta hun aah mera ye safar kitna tawil
fasle itne ki un ki ab koi manzil nahin
tai karunga aur thak jaunga main
aur meri nind ruThi hi rahegi taki main aaram lun
khaul deta hun ye aankhen
aur ab KHush hun chalo fursat mili is muft ki begar se
kya bataun mere andar se us dam
do nai aankhen nikal kar
meri aankhon ki jagah leti hain
phir pahunch jata hun us duniya mein
jis se bhag kar aaya tha main
phir wahi sare manazir shahr aur aabaadiyan
jaise ek aaseb ban kar mere sar pe chha gain
aah mujh ko kha gain
kash koi wo khuli aankhen mujhe wapas dila de
main hamesha ke liye ban jaunga us shaKHs ka
aaj tak wo shaKHs meri aankh se ojhal hai, main
maut tak kya so sakunga
maut hi wo apni pyari nind hai
jo hamesha ke liye apne musafir ko sulati hai
use tohfa ata karti hai
jis ko hum kabhi aaram kahte kabhi amn-o-sukun
main usi ki kali zulfon ka asir
main usi apni dulhan ka muntazir hun
Nazm
Nind pyari nind
Khalilur Rahman Azmi