ye kis paikar ki rangini simaT kar dil mein aati hai
meri be-kaif tanhai ko yun rangin banati hai
ye kis ki jumbish-e-mizhgan raubab-e-dil ko chhuti hai
ye kis ke pairahan ki sarsarahaT gungunati hai
meri aankhon mein kis ki shoKHi-e-lab ka tasawwur hai
ki jis ke kaif se aankhon mein meri nind aati hai
sukut aur shanti ke har qadam par phul barsati
asir-e-kakul-e-shab-gun bana kar muskuraati hai
meri aankhon mein ghul jati hai wo kaif-e-nazar ban kar
mujhe qaus-e-quzah ki chhanw mein pahron sulati hai
sahar tak wo mujhe chimTae rakhti hai kaleje se
dabe panw kiran KHurshid ki aa kar jagati hai
Nazm
Nind
Makhdoom Mohiuddin