nind miThi nind aankhon mein bhari hai
dhund mein har chiz Dubi ja rahi hai
paniyon par jaise bahta ja raha hun
sahilon se dur hota ja raha hun
dekha an-dekha sa kuchh rang-e-KHala hai
ek be aawaz aawaz hua hai
rishta-e-rang-o-sada se kaT gaya hun
dhund gahri aur gahri ho gai hai
ek purani gunj dil mein gunjti hai
dur ki ek shakl ab pas aa rahi hai
Nazm
Nind
Kumar Pashi