nind ke taaqub mein
dur dur tak la-hasil
der se bhaTakta hun
nili aankhon wali
jangali billi
bar bar dum hilati hai
meri chaarpai ke niche
nim raushan lamp ke ird-gird
kiDon par jhapaTti chhipkali
be-KHabar hai apne ant se
kitna ghair-mutawaqqe hoga
mil jaana anant se
miTTi ke tel ki gandh
qulanchen bhar rahi hai kamre mein
be-lagam ghoDi ki tarah
chhat par
rengti hui KHamoshi
bar bar dohra rahi hai
papi nishacharon ka git
aur nind milon dur
kisi na-malum daraKHt ke patton mein chhupi
chiDiyon sa chahchaha rahi hai
mujhe bula rahi hai
Nazm
Nind ke taaqub mein
Chandrabhan Khayal