اردو हिंदी
Nind ka pher | Shaahi Shayari
nind ka pher

Nazm

Nind ka pher

Malik Ehsan

;

meri aankhon ne
nae nae KHwabon ko to dawat de di hai

so apne hathon ko phir se jumbish dunga
jin par aa kar TuT chuke hain

na jaane kitne hi hubab
nind ke pher ne kya kar Dala

jagti aankhon se main ab ye soch raha hun
kya hoga jab palkon par mehman aaenge

mere pas siwae
wahi purane KHwabon ki rukhi sukhi tabiron ke kya rakkha hai