اردو हिंदी
Nind | Shaahi Shayari
nind

Nazm

Nind

Ashok Lal

;

nind aani ho to aa jati hai
tez pankha ho ya bahut dhima

sard mausam ho ya bahut garmi
hath sine pe ho ki sir ke tale

ho andhera ya raushni tikhi
raat ho din ho shor ya chuppi

saKHt bistar ho silwaTon wala
aankh jalti ho bure sapnon se

sar pe manDlati ho kali chhaya
nind aani ho to aa jati hai

aur jab nind nahin aani ho
sare aaram reshmi bistar

loriyan gati hui mund hawa
sab dhare ke dhare rah jate hain

kaam karti hai dawa aur na dua
nind ki wadiyon se dur kahin

palken karwaT badalti rahti hain
band aankhon ko chir kar jaise

nazren kuchh DhunDhti si rahti hain
jab kabhi nind nahin aani ho!

nind ek naznin se kam to nahin aai, aai kabhi nahin aai!