nind aati hai to lagta hai ke tum aae ho
aankh kholun to kahin dur talak koi nahin
hun muqayyad main kisi gosha-e-tanhai mein
har taraf phaili hui dhund nazar aati hai
samne tum se bichhaDne ka wahi manzar hai
aankh mein chubhta hai ye mil ka patthar sun lo
log kahte hain manazir to badal jate hain
kuchh qadam chhoD ke har yaad ka daman dekho
Thik kahte bhi hon ye log to kya chaara hai
aap ki yaad wo daman nahin chhoDen jis ko
ye to ek dam hai main jis mein ulajh kar dekho
lakh barbaad hun nashad hun nakaam nahin
waqt palTega tum aaoge to ye dekhoge
is bharose ke sahaare main abhi zinda hun
Nazm
Nind aati hai to lagta hai ke tum aae ho
Moni Gopal Tapish