tumhaari mohabbat ko zindagi dene ke liye
main ne to apne sare but toD liye
magar tum ne jawaban
apne kabe par ghilaf chaDha liya
faqat tawaf se meri tashaffi nahin ho sakti
main kaise tumhaare andar jhankun
bebasi ne mujhe meinDak bana diya hai
main apni zat ke kuen mein paDa hun
aur KHwahish mere KHun mein
rassi ki tarah laTak rahi hai
main kapDon mein bhi fuhash kahlaya
to libas meri qaid kyun hai
mujhe rangat nahin ehsas darkar hai
kyunki aankhon se ziyaada mere hath pyase hain
lazmi nahin sirf aankh se roya jae
aur rone ke liye behtarin jagah
washroom hi ho sakti hai
jahan mein apni nim-libasi thuk kar
tumhaare nam ka ghusl kar sakta hun
Nazm
Nim-libasi ka nauha
Zahid Imroz