mere ghar mein jhonj banae gaurayya ka joDa
chonch mein le kar aae jae bhusa thoDa thoDa
bhuse mein kuchh tinke bhi hain kuchh maTiyale par
nile pile ujle maile bhure kale par
baghon baghon ho kar aae apna ghar na bhule
pahle wo rassi par baiThe pal bhar jhula jhule
phir almari mein uD kar jae sidhe apne kone
ghaalib ka diwan chuna hai rahne ko in do ne
nili nili jild pe jaise phul rakha ho koi
ya kaghaz ko raat samajh kar chand uga ho koi
qismat wale Thahre un ke lal gulabi panje
urdu ka ek shaer aaya un ke panw ke niche
chandi jaise taKHt pe so kar guzrin raaten un ki
'ghaalib'-sahib sunte honge shayad baaten un ki
mazi ki buniyaad pe rakkha hai mustaqbil sab ka
aane wale daur mein logo aTka hai dil sab ka
gaurayya ke in KHwabon ko kaise toDa jae
koi nusKHa aur manga len is ko chhoDa jae
Nazm
Nili jild ki kitab
Qaisar-ul-Jafri