waqt ki daldal mein dhansta ja raha hun
mere chaaron or gadli lajlaji yaadon ki tah hai
sar pe biti umr ke TuTe hue lamhon ka bojh
is safar ki ibtida kaise hui thi
ye KHabar mujh ko nahin
yaad bas itna hai
mere walid-e-marhum kuchh upar hi mujh se rah gae the
intiha kya hai safar ki
kaun jaane
sans ka har taziyana
mujh ko niche aur niche ki taraf hi khinchta hai
jaane main tah tak bhi pahunchunga
ki walid ki tarah
apne bachchon ko bhi dhansne ke liye kah jaunga
waqt ki daldal mein dhansta ja raha hun

Nazm
Niche ki or
Muzaffar Hanfi