اردو हिंदी
Nida-e-taKHliq | Shaahi Shayari
nida-e-taKHliq

Nazm

Nida-e-taKHliq

Hasan Nayeem

;

sukut-e-nim-shabi mein kisi ne di aawaz
'naim' dil se nikalo na KHar-ha-e-KHalish

sukun hai to isi iztirab mein kuchh hai
ghuzar-e-shauq mein, soz-e-talash mein kuchh hai

junun ke jumla marahil se tum guzar dekho
jamal-e-fikr se aabaad hai dil-e-viran

sharar-e-dil se munawwar jahan-e-farda hai
ye kaun mujh se muKHatib hai itni qurbat se

ye kis ne zaKHm ko dast-e-shifa se chheDa hai,
isi KHayal mein gum tha ki phir sada aai

kamal-e-arz-e-suKHan jis ko tum samajh baiThe
wo ijz-e-fikr hai iqrar-e-be-zabani hai

nikal ke aao zara kucha-e-KHabar dekho
har ek chaak-gireban har ek gard-alud

na qatl-gah se hirasan na sangsaron se
ki ek umr guzarti hai justuju karte

nazar ko tez haqiqat ko ru-ba-ru karte
bas ek tum ki tumhaare qadam nahin uThte

quyud-e-asr ki zanjir kaTne wale
faraaz-e-koh se aawaz de rahe hain tumhein

payambaron ke maqamat de rahe hain tumhein
ruKH-e-sahar se haTao rida-e-shab lillah

azab-e-nar se guzro ki tauf-e-nur karo
jigar ke dagh se rakkho harim-e-jaan raushan

shua-e-dard ko chumo gale lagao 'naim'
sar-e-wajud jhukae suna kiya sab kuchh

tamam jism tha goya nishana-e-awaz
tamam ruh thi same tamam gham bedar

sukut-e-shab mein
sada gunjti rahi pahron