tum pareshan na ho, bab-e-karam wa na karo
aur kuchh der pukarunga chala jaunga
usi kuche mein jahan chand uga karte hain
shab-e-tarik guzarunga, chala jaunga
rasta bhul gaya, ya yahi manzil hai meri
koi laya hai ki KHud aaya hun malum nahin
kahte hain husn ki nazren bhi hasin hoti hain
main bhi kuchh laya hun, kya laya hun malum nahin
yun to jo kuchh tha mere pas main sab bech aaya
kahin inam mila, aur kahin qimat bhi nahin
kuchh tumhaare liye aankhon mein chhupa rakkha hai
dekh lo aur na dekho to shikayat bhi nahin
ek to itni hasin dusre ye aaraish
jo nazar paDti hai chehre pe Thahar jati hai
muskura deti ho rasman bhi agar mahfil mein
ek dhanak TuT ke sinon mein bikhar jati hai
garm boson se tarasha hua nazuk paikar
jis ki ek aanch se har ruh pighal jati hai
main ne socha hai ki sab sochte honge shayad
pyas is tarah bhi kya sanche mein Dhal jati hai
kya kami hai jo karogi mera nazrana qubul
chahne wale bahut, chah ke afsane bahut
ek hi raat sahi garmi-e-hangama-e-ishq
ek hi raat mein jal marte hain parwane bahut
phir bhi ek raat mein sau tarah ke moD aate hain
kash tum ko kabhi tanhai ka ehsas na ho
kash aisa na ho ghere rahe duniya tum ko
aur is tarah ki jis tarah koi pas na ho
aaj ki raat jo meri hi tarah tanha hai
main kisi tarah guzarunga chala jaunga
tum pareshan na ho, bab-e-karam wa na karo
aur kuchh der pukarunga chala jaunga
Nazm
Nazrana
Kaifi Azmi