nazr-e-watan phir ai dil diwana chahiye
phir har qadam pe sajda-e-shukrana chahiye
phir sar-zamin watan ki hai nazron ke samne
phir lab pe ek nara-e-mastana chahiye
bachpan ki yaad leti hai phir dil mein chuTkiyan
phir be-KHudi ba-hujjat-e-tiflana chahiye
barson ke baad aae hain bagh-e-watan mein hum
phir har kali ko sajda-e-mastana chahiye
kohsar sabz-posh nazar aae dur se
phir lab pe chaar bait ka afsana chahiye
jis kuche mein huin kabhi ruswaiyan nasib
us ka tawaf ba-dil-e-diwana chahiye
baKHsha tha jis ne pahle-pahal dil ko dard-e-ishq
phir us ke dar pe sajda-e-shukrana chahiye
phir dil ko ho yaqin na kisi ke visal ka
phir waqia ba-surat-e-afsana chahiye
phir shauq se milenge kisi gul-ezar se
phir lab pe shor-e-bulbul-e-mastana chahiye
jhula jhulaenge kisi mast-e-shabab ko
raqsan faza mein phir mai-o-mai-KHana chahiye
pae talab ko wadi-e-parwin hai nim-gam
phir aarzu ko manzil-e-jaanana chahiye
phir KHirman sukun ko hain darkar bijliyan
phir be-hijab jalwa-e-jaanana chahiye
phir zauq-e-mai-kashi ko hai mearaj ki talab
kausar ka baada chand ka paimana chahiye
phir shauq ban ke dil mein dhaDakti hai zindagi
phir jumbish-e-tabassum-e-jaanana chahiye
phir sina-e-umid mein raqsan hai barq-e-tur
phir pursish mazaq kalimana chahiye
baala-e-koh saya-e-abr-e-bahaar mein
parwin-o-mahtab ka kashana chahiye
phir us harim-e-nur ke aaghosh-e-naz mein
ek gul-kada ba-rang-e-pari-KHana chahiye
phir abr-o-bagh-o-nikhat-o-gul ke hujum mein
shama o sarw o baada-o-paimana chahiye
phir us ki chashm-e-mast pe gesu hon pur-fishan
phir abr-e-sham-gun sar-e-mai-KHana chahiye
phir chandni mein daman-e-dariya ye ai nadim
raqs-e-sharab-o-gardish-e-paimana chahiye
josh-e-tarab ne hashr sa dil mein kiya bapa
phir be-KHudi ko girya-e-mastana chahiye
'aKHtar' watan mein aa ke khula hai ye husn-e-raaz
is muKHtasar si umr mein kya kya na chahiye
Nazm
Nazr-e-watan
Akhtar Shirani