اردو हिंदी
Nazr-e-maulana hasrat-muhani | Shaahi Shayari
nazr-e-maulana hasrat-muhani

Nazm

Nazr-e-maulana hasrat-muhani

Faiz Ahmad Faiz

;

mar jaenge zalim ki himayat na karenge
ahrar kabhi tark-e-riwayat na karenge

kya kuchh na mila hai jo kabhi tujh se milega
ab tere na milne ki shikayat na karenge

shab bit gai hai to guzar jaega din bhi
har lahza jo guzri wo hikayat na karenge

ye faqr dil-e-zar ka iwazana bahut hai
shahi nahin mangenge wilayat na karenge

hum shaiKH na leader na musahib na sahafi
jo KHud nahin karte wo hidayat na karenge