ai dil-e-kafir ijz se munkir aaj tera sar KHam kyun hai
teri haTeli shiryanon mein ye bebas matam kyun hai
aankh to rona bhul gai thi phir har manzar nam kyun hai
mat roko bahne do aansu kisi ko karte hain parnam
aap jhuka hai jhukne do sar chhupa tha us mein koi salam
shayad us ke huzur mein ho tum jis ko kahte hain anjam
wo hasti ki sarhad-e-aKHir hua jahan har safar tamam
bebas hai insan bebas hai takti rah gai roti sham
uTh gaya koi bhari duniya se baqi rahe KHuda ka nam
ya phir kaghaz par parchhain milega jis ko sabt-e-dawam
ye TukDe insani dil ke shaer aur shaer ka kalam
naz karungi KHush-baKHti mein main ne 'firaq' ko dekha tha
ujDe ghar mein wo tahzibon ke sangam par baiTha tha
garm ham-aghoshi sadiyon ki hogi kitni pyar bhari
jis ki banhon mein kheli thi us ki soch ki sundarta
sher ka dil shaffaf tha itna jaise aaina-e-tariKH
kya bhar pur visal tha jis ne us shaer ko janm diya
gar tariKH ne pagal ho kar KHud apna sar phoDa hai
KHun uchhaala hai galiyon mein apna hanDola toDa hai
chhinT na thi daman par us ke kaun ghaT dho baiTha tha
jise samajhte ho na-mumkin wo us insan jaisa tha
insan bhi itna mamuli jaise apna ham-saya
apne sher sunana us ka aur KHud hairan ho jaana
baaton mein masum mahak thi aankhon mein bechain lapak
KHamoshi ke waqfe yun jaise us ne kuchh dekha tha
piD bahut jheli thi us ne itni baat to zahir thi
lahja mein shoKHi thi jaise rakh mein chamke angara
sangam ke pani par main ne dekhi thi kaisi taswir
uDa lahak kar ek jal-panchhi khinch gaya pani pe lakir
jamuna ki nili gahrai bhed bhari chup se bojhal
ganga ke dhaare ki jumbish ujli taqat aur be-kal
is pani mein aks Dalta aasman ka ek TukDa
miTTi ke but hare nariyal chandan laga koi mukhDa
wo dhaaron par naw kheta sukha panjar manjhi ka
dan ke paise ginta panDit tanba suraj sanjhi ka
jamuna par minar qila ke gumbad ka tirchha saya
paksitan se aae muhajir gende ki TuTi mala
pani mein chappu ki shap shap baaton ke TuTe TukDe
yahin kahin par hum se ojhal saraswati bhi bahti hai
jo samjhi jo aage samjhun chhalak raha hai dil ka jam
wo manzar jo KHud se baDa tha us ka ghera tumhaare nam
ye kamre ka mand ujala bahar huk papihe ki
khiDki par bundon ki dastak sansen bharti KHamoshi
puri baat nahin batlata gunge aansu ro dena
teri dharti sah na sakegi itne husn ko kho dena
tanha aur apahij buDhe tujhe na marne denge log
abhi to jiwan banjh nahin hai phir tujh ko janmenge log
Nazm
Nazr-e-firaq
Fahmida Riaz