Nazr-e-collage | Shaahi Shayari
nazr-e-collage

Nazm

Nazr-e-collage

Sahir Ludhianvi

;

ai sar-zamin-e-pak ke yaran-e-nek-nam
ba-sad KHulus shair-e-awara ka hai nam

ai wadi-e-jamil mere dil ki dhaDkanen
aadab kah rahi hain teri bargah mein

tu aaj bhi hai mere liye jannat-e-KHayal
hain tujh mein dafn meri jawani ke chaar sal

kumlae hain yahan pe meri zindagi ke phul
in raston mein dafn hain meri KHushi ke phul

teri nawazishon ko bhulaya na jaega
mazi ka naqsh dil se miTaya na jaega

teri nashat-KHez faza-e-jawan ki KHair
gul-ha-e-rang-o-bu ke hasin karwan ki KHair

daur-e-KHizan mein bhi teri kaliyan khili rahen
ta-hashr ye hasin fazaen basi rahen

hum ek KHar the jo chaman se nikal gae
nang-e-watan the hadd-e-watan se nikal gae

gae hain is faza mein wafaon ke rag bhi
naghmat-e-atishin se bikheri hai aag bhi

sarkash bane hain git baghawat ke gae hain
barson nae nizam ke naqshe banae hain

naghma nashat-e-ruh ka gaya hai barha
giton mein aansuon ko chhupaya hai barha

masumiyon ke jurm mein badnam bhi hue
tere tufail morid-e-ilzam bhi hue

is sar zamin pe aaj hum ek bar hi sahi
duniya hamare nam se bezar hi sahi

lekin hum in fazaon ke pale hue to hain
giryan nahin to yan se nikale hue to hain