meri tamam kaenat
ghas ke waraq ki tarah sukhne lage
to tum is tanha raste pe aaoge?
taKHliq ke chup malik! aaqa! KHuda!
tum ki khoe houn ke dard muddaton sambhaale rahe ho
us raste pe ki jahan
mujhe kabhi yaqin na ho saka ki pani mangun to kaise
roTi ya aafiyat ya mahz pahchan ki bhik mangun to kaise
tum aaoge?
jale hue jism ke is raste pe?
maut ke dusre sahil pe
dhuen ki tarah pash pash buDhi haDDiyon ki
is sar-zamin pe?
yahan be-nutq lafz ek dusre ka munh takte hain
aur har dua ne lafzon se munh moD liya hai
Nazm
Nazmon ke liye dua-e-KHair
Ejaaz Ahamd Ejaaz