mohabbat pesh-qadmi karti hai
aur apni fauj mein
kisi sipahi ko bharti nahin karti
kisi tank ko apne sath nahin rakhti
koi baktar-band gaDi ya top-KHana
apni hifazat ke liye istimal nahin karti
kisi tayyare se
maidan-e-jang ka jaeza nahin leti
mohabbat pesh-qadmi karti hai
aur sari duniya ke tir
zahr mein bujha liye jate hain
sare neza-baz
ghat laga ke baiTh jate hain
sari talwaren
niyam se bahar aa jati hain
use apni Tapon tale raundne ke liye
shah-sawar tayyar ho jate hain
baadshahon ka ghussa
kali aandhi ban ke
us taraf baDhne lagta hai
apne dil pe hath rakh ke
mohabbat pesh-qadmi karti hai
aur us ka jahaz
kabhi gharq nahin hota
us ka aslaha kabhi KHatm nahin hota
mohabbat ki hamesha jari rahne wali
ye pesh-qadmi koi rok nahin pata
thak-haar ke us ke sath sath chalne lagta hai
Nazm
Nazm
Zeeshan Sahil