bahaar aane se pahle
shahr ka mausam badalta hai
jahan-e-rang-o-bu ke sath
kul aalam badalta hai
dil-o-jaan juz-ba-juz
ya sar-ba-sar tabdil hote hain
musafir raste aur ham-safar
tabdil hote hain
jahan ek ghar tha pahle
ab kisi ka ghar nahin hoga
bahaar aane se pahle ka
koi manzar nahin hoga
Nazm
Nazm
Zeeshan Sahil