hamein ek daraKHt ko
sar-buland karna chahiye
wo batri se chalne wale
aare le kar, be-shumar mazdur le kar
use kaTne aae hain
wo chaubis pahiyon wala Truck le kar
use jangal ki hudud se bahar le jaane aae hain
wo containeron se bhara jahaz le kar
is ki shaKHen, patte, tana aur jaDen
samundari raste se
apne headquarter tak le jaane aae hain
hamein jis daraKHt ko sar-buland karna hai
us ki hawa, pani aur zamin chhini ja chuki hai
us ke parinde aur dhup chhini ja chuki hai
us ka saya aur KHwab chhine ja chuke hain
sirf mohabbat baqi hai jis ki madad se
hum apne dil ko is ki zamin
apni aankhon ko is ki jaDen
aur apne bazuon ko us ki shaKHen bana denge
use sahaara denge
aur hamesha sar-buland rakhenge
Nazm
Nazm
Zeeshan Sahil