اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zeeshan Sahil

;

agar hukmaran shikar ke shauqin hon
to sher ke shikar ke waqt

hankne ke liye apni reaya ko
be-daregh istimal kar sakte hain

aur hathi marne ke liye
chyunTiyan apni jeb se nikal sakte hain

apne dushmanon ke rumal kutton ko sungha sakte hain
soi hui murghabiyan aasani se pakaD sakte hain

bheDiye pal sakte hain
aur malika ko richh ke hawale kar ke

itminan se shikar par ja sakte hain